8 inspirational Log || Jinhone Jeene Ka Nazariya Badal Diya.

Hello Doston main hoon Gopal Verma .Jahan Ham zindgi me aane wali mushkilon se haar maan lete hain aur zindagi jine ki chahat chod dete hain. vahin duniya me kuch log aise bhi hain jinhone duniya ke nazariye ko hi badal diya aur body se disable hone ke baad bhi khud ko sabit kiya. In logo ne sirf khud ko sabit hi nahi kiya balki duniya ko jeene ka ek naya nazariya diya ki agar aapki willpower majboot hai to chahen kitni bhi mushkilen aayen aap jo chahen vo ker sakte hain. 1 Stephen Hawking. Stephen William Hawking ka janm 8 January 1942 ko Oxford me hua tha. Stephen Hawking English theoretical physicist, cosmologist aur marne ke samay vo Writer the director of research at the Centre for Theoretical Cosmology ke University of Cambridge me. Unhone apni life me space time ko lekar bahut si research ki unhone black hole ...