12th UP Board Exam 2021 || Update
Hello Doston main hoon Gopal Verma aaj main baat karunga UP Board 12th class ke exams ki , To lockdown ki vajah se up bored ke exams nahi ho paye the aur ham sab intzar kar rahe the ki ye exams kab honge .
* Deputy chief minister - Dinesh Sharma
Uttar Pradesh ke upa mukhyamantri shri Dinesh Sharma ji ne kaha hai ki ham UP board 12th ke exams ki dates ke bare me, CM Adityanath Yogi se vichar krne ke baad faisla lenge .
Upa mukhyamantri Dinesh Sharma ne ye bhi kaha hai ki UP 12th board exam me social distancing ka poori tarah se palan kiya jayega .
* 8,513 Exam Centers Me Honge Exam
Upa mukhyamantri Dinesh Sharma ji ne tweet krte hue kaha hai hamne papers pehle hi print ker liye hain aur decode copies ke sets bhi bana liye hain , 8,513 exam centers pe social distancing ka poora dyaan rakha jayega , ham corona ki isthiti ko samajh rahe hain ,
CM Adityanath Yogi se baat krne ke baad ham is mahine ke aakhir tak faila lenge.
*July me ho sakte hain exam.
Madhyamik shiksha parishad ki baton ko dekhte hue aur upa mukhyamantri ji ki baton ke baad ye andaza lagaya ja sakta hai agar corona ki isthiti control me rahi to UP Board 12th exam July me ho sakte hain.
Follow me on Instagram - @gopal_verma_4u
👍
ReplyDelete