UP Board 10th Ke Students Honge Bina Exam Diye Pass || July Me Honge 12th Ke Exam

Hello Doston main hoon Gopal Verma,Kafi
Samay se ye confirm nahi tha ki Up bored ke exam honge ya nahi lekin ab UP government ne ab confirm ker diya hai.

   ( UP  Chief minister ) Yogi  Adityanath 


*  Bina Exam Diye Pass Honge Up Board 10th Ke students 

UP government ne bahut soch vichar ke baad ab ye faisla le  liya hai ki 10th class ke sabhi students ko bina exam ke pass kiya jayega . 29.94 lakh registered hain  10th ke students 

* 100 Saal ki History Me Pehli Baar

Uttar Pradesh ki 100 saal ki history me pehli baar bina exam diye pass Honge 10th ke 29.94 lakh students.

* Up government ne ye bhi confirm kiya hai ki  Pre-board , Half yearly , 9th Ke Numbers pe pass Honge 10th ke students .


* Teacher Ko Vaccination Ki Taiyari

UP government ne ye bhi confirm kiya hai ki exams se pehle teacher ka hoga Vaccination.

* Students ke vaccination pe dyaan.

Government ne is baat pe bhi vishesh dyaan diya hai ki 18 saal aur usse jyada ke students ko bhi camp lagake hoga Vaccination.


.        ( Deputy chief minister of UP)
                   Dinesh Sharma 

* Is saal corona lockdown ke karan nahi ho paa rahe the 10th ke exam isiliye students ko ye confusion tha ki exam honge ya nahi, lekin ab ye confusion door ho gaya hai.

* July Me Honge UP Board 12th Ke Exam

Up government ne is baat ko bhi confirm kiya hai ki sankraman ki isthiti me sudhar aane par July ke dusre hafte me honge 12th ke exam , Up government ne ye bataya hai ki exams main social distance ka poori tarah palan kiya jayega.

* Exam Me 10 Me Se 3 jaroori.

UP government ne jankari dete hue bataya hai ki  exam me 10 me se sirf 3 questions ke dene honge answer.30% course pehle hi ho chuka hai kam .

* Exam me 20.10 lakh students ka 01:30 gahante  ka hoga exam.

 


 Follow me on instagram - @gopal_verma_4u










Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

8 inspirational Log || Jinhone Jeene Ka Nazariya Badal Diya.

Corona se kaise Bachen ||

12th UP Board Exam 2021 || Update