Black Fungus Mahamari || lakshan aur bachne ke tarike ||
Hello Doston main Gopal Verma aaj main aapko ek nayi mahamari ke bare me bataunga. Jahan ham sab corona mahamari se joojh rahe the vahin ab Black fungus mahamari ne bhi dastak di hai .
1 Black Fungus (mucormycosis)
Black Fungus ek bahut hi khatarnak mahamari hai ye itni khatarnak mahamari hai ki iske karan hamari aankhon ki roshni bhi jaa sakti hai ,ye fungus jyadatar covid-19 ke recovered patients ko hota hai ye un patients ko hota hai jinka sugar level bahut high ho , Vo lambe samay tak ventilation pe rahe hon ,Ya lambe arse tak oxigen support pe rahe hon ,Ya lambe samay se jinki long duration systemic steroid chal rahi hon .
Black fungus ke symptoms --
* Band naak
* Galon me dard
* Naak se khoon aana ya papdi girna
* Sar dard
* Aankhon me dard
* Double dikhna
* Dhundhla dikhna
* Danton me dard
* Aankhon ka bada ho jana
* Naak ke paas kale daag
* Badan dard
Ye sab black fungus ke common symptoms hain
Jab aapko ye symptoms dikhai den to jald se jald doctor ko dikhayen , aap jitni jaldi doctor ko dikhayenge utni jaldi is beemari ko control me lana aasaan hoga .
Black fungus se kaise Bachen ---
Mask pehnna jaroori hai ,hawa me paye jane wale fungal beejando aasani se naak me ghus jate hain . Ye sankraman Ko rokne mein masking ko do guna Jaroori banata hai . Jo log kam - kaj karte hain ya construction sides pe kaam krte hain unhe mask ka bahut dyaan rakhna chahiye.
Patients ko steroid kam se kam deni chahiye , patients ko tab hi oxigen deni chahiye jab jyada jaroorat ho
Follow me on Instagram - @gopal_verma_4u
Ye to bahut khatarnak beemari hai
ReplyDelete