Lockdown Me Khush Aur Swasth Rehne Ki 5 Tips ||
Hello Doston main hoon Gopal Verma Lockdown ke karan ham sabhi ghar baithe-baithe aalas, chinta , aur hamari body in beemariyon ka shikar ho rahi hai.To aaj main aapke liye 5 aisi tips laya hoon jinhe kerke ham lockdown me ghar baithe swasth rah sakte hain.
Meditation ek aisa upay hai jisko kerke, aap aaram se apne man ko shant rakh sakte hain . Meditation se sirf aapka man hi nahi balki tan bhi shant aur swasth rehta hai.
Hame roz subah uthke nahane ke baad lagbhag 10-15 minute meditation Krna chahiye ,Isse hamare man ko chinta ni hoti aur man shant rehta hai.
Yoga lockdown me apne swasthya ko theek rakhne ka sabse acha tarika hai,yoga se aapki body shape me aa jati hai.
Hame roz subah uthke yoga aasan jaroor krne chahiye aur sabse pehle hame surya namaskar karna chahiye Isse hamara poora din acha guzarta hai
3 Talking with love Ones
Agar ham lockdown me boriyat feel ker rahe hain aur hame samajh me nahi aa raha ki kya karen, to hame unse baat kerni chahiye jinse ham bahut pyaar kerte hain ,
Kyunki jab ham unse baat kerte hain jinhe ham bahut pyaar kerte hain to hamare ander ki saari chinta,boriyat, anxiety, stress door ho jata hai aur hamara man khushi ke karan fresh feel kerta hai.
4 Learn New Languages
Is lockdown me khush rehne ke liye hame busy hona bahut jaroori hai, iske liye ham ghar baithe nayi language seekh sakte hain.
Aisi bahut si apps aur websites hain jo hame ghar baithe online new Language
Sikha sakti hain , Aur ye future me hamare liye bahut acha sabit ho sakta hai.
5 Blogging
Lockdown me busy rehne ke liye blogging bhi ek acha tarika hai , Iske zariye aap apne vichron ko duniya tak pahuncha sakte hain.
Agar aap blogging kerne me ache hain to aap aage future me ise earning ka source bhi bana sakte hain.
* To ye the vo 5 tips jinse aap aasani se lockdown me ghar pe khush swasth aur busy reh sakte hain .
* Aap is bare me kya sonchte hain comment box me jaroor batayen.
Follow me on Instagram
= @gopal_verma_4u
ππ»this news will be beneficial for me...
ReplyDeleteThats great π
Delete