Posts

Showing posts from May, 2021

UP Board 10th Ke Students Honge Bina Exam Diye Pass || July Me Honge 12th Ke Exam

Image
Hello Doston main hoon Gopal Verma,Kafi Samay se ye confirm nahi tha ki Up bored ke exam honge ya nahi lekin ab UP government ne ab confirm ker diya hai.    ( UP  Chief minister ) Yogi  Adityanath  *  Bina Exam Diye Pass Honge Up Board 10th Ke students  UP government ne bahut soch vichar ke baad ab ye faisla le  liya hai ki 10th class ke sabhi students ko bina exam ke pass kiya jayega . 29.94 lakh registered hain  10th ke students  * 100 Saal ki History Me Pehli Baar Uttar Pradesh ki 100 saal ki history me pehli baar bina exam diye pass Honge 10th ke 29.94 lakh students. * Up government ne ye bhi confirm kiya hai ki  Pre-board , Half yearly , 9th Ke Numbers pe pass Honge 10th ke students . * Teacher Ko Vaccination Ki Taiyari UP government ne ye bhi confirm kiya hai ki exams se pehle teacher ka hoga Vaccination. * Students ke vaccination pe dyaan. Government ne is baat pe bhi vishesh dyaan diya hai ki 18 saal ...

12th UP Board Exam 2021 || Update

Image
Hello Doston main hoon Gopal Verma aaj main baat karunga UP Board 12th class ke exams ki , To lockdown ki vajah se up bored ke exams nahi ho paye the aur ham sab intzar kar rahe the ki ye exams kab honge . * Deputy chief minister - Dinesh Sharma  Uttar Pradesh ke upa mukhyamantri shri Dinesh Sharma ji ne kaha hai ki ham UP board 12th ke exams ki dates ke bare me, CM Adityanath Yogi se vichar krne ke baad faisla lenge . Upa mukhyamantri Dinesh Sharma ne ye bhi kaha hai ki  UP 12th board exam me social distancing ka poori tarah se palan kiya jayega . * 8,513 Exam Centers Me Honge Exam   Upa mukhyamantri Dinesh Sharma ji ne tweet krte hue kaha hai hamne papers pehle hi print ker liye hain aur decode copies ke sets bhi bana liye hain , 8,513 exam centers pe social distancing ka poora dyaan rakha jayega , ham corona ki isthiti ko samajh rahe hain ,  CM Adityanath Yogi se baat krne ke baad ham is mahine ke aakhir tak faila lenge. *July m...

Black Fungus Mahamari || lakshan aur bachne ke tarike ||

Image
Hello Doston main Gopal Verma aaj main aapko ek nayi mahamari ke bare me bataunga. Jahan ham sab corona mahamari se joojh rahe the vahin ab Black fungus mahamari ne bhi dastak di hai .                1  Black Fungus (mucormycosis ) Black Fungus ek bahut hi khatarnak mahamari hai ye itni khatarnak mahamari hai ki iske karan hamari aankhon ki roshni bhi jaa sakti hai ,ye fungus jyadatar covid-19 ke recovered patients ko hota hai ye  un patients ko hota hai jinka sugar level bahut high ho , Vo lambe samay tak  ventilation  pe rahe hon ,Ya lambe arse tak oxigen support pe rahe hon ,Ya lambe samay se jinki long duration systemic steroid chal rahi hon . Black fungus ke symptoms -- * Band naak  * Galon me dard * Naak se khoon aana ya papdi girna * Sar dard  * Aankhon me dard * Double dikhna * Dhundhla dikhna * Danton me dard * Aankhon ka bada ho jana  * Naak ke paas kale daag * Badan dard Ye sab black fungus...

Corona se kaise Bachen ||

Image
Hi Doston main hoon Gopal Kumar Verma aaj ham baat karenge corona se bachne ke tarikon ke bare me . Corona se bachne ke liye hame kuch baton ka khayal rakhna chahiye                             1 Mask  Corona se bachne ke liye mask sabse bada kadam hai. Jab bhi ham bahar kahin jayen to hame mask jarur pahenna chahiye.Aur zyada suraksha ke liye hame double mask pehnna chahiye.                           2 Sanitizer  Hame corona se bachne ke liye samay-samay pe apne hanthon ko sanitize Krna chahiye aur hame us Sanitizer ka use Krna chahiye jisme 60% alcohol ki maatra ho .                        3 Social Distance Hame corona ko badhne se rokne ke liye social - distancing yani samajik doori banaye rakhni chahiye , hame kam se kam 2 metre ki samajik doori banaye rakhni chahiye.    ...